Sunday 2 December 2012

Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai

Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai

Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaatihai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon
Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon
Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi
Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
Aisi Dunya mai Mere waaste rakhakya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le, uska Iraada kyahai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
If You Enjoyed This Post Please Take 5 Seconds To Share It.

0 comments:

dhakad . Powered by Blogger.

hindi

Social Icons

Dil ki baat

Har Insan Dil ka bura nahi hota, Har koi insan Bewafa nahi hota, Bujh jaata hai kabhi Diya tel ki kami se, Har baar kasur Hawa ka nahi hota

Blog Archive

Featured Posts