“Gum e Judai”


d of Poetry

Hum Shayar Yun Ban Jayenge…

December4
Hum Shayar Yun Ban Jayenge
Kabhi Socha Na Tha

Pyar Ke Aise Mukam Pe Pahuch Jayenge
Kabhi Socha Na Tha
Jo Rahe Chuni Thi Humne
Un Raho Pe Kho Jayenge
Kabhi Socha Na Tha
Tere Bina Jini Pade Yeh Zindagi
Kabhi Socha Na Tha
Sapne Jo Dekhe The Saath Mein Woh Tut Jayenge
Kabhi Socha Na Tha
posted under Gum a Judai | No Comments »

Wo Do Rahe Par Khada Hai Waqt Ka Ik Ped…

December4
Wo Do Rahe Par Khada Hai Waqt Ka Ik Ped
Saare Patte Sookh Chuke Hain Jiske

Fir Bhi Shaakhaon Se Latakte Rehte Hain
Jism Kitne Hi Musaafiron Ke Guzre
Ruhen Jinki Abhi Bhi Atki Hain Isme
Shakaon Mein Yaadon Ke Kuch Zakhm Ab Bhi Hare Hain
Saare Aansoo Beh Gaye Koi Rula De Zara
To Fir Paani Mil Jaye Jadon Ko
Takta Rehta Hai Dono Rahon Ko
Sookhi Aankhon Se Apni
Shayad Bhool Gaya Hai Manzil Ka Pata
Kabhi Tum Guzro Is Raah Se
To Manzil Mil Jaye Isse
posted under Gum a Judai | No Comments »

Deewanon Ki Ye Baatein Deewane Jante Hai…

December4
Deewanon Ki Ye Baatein Deewane Jante Hai
Jalne Mein Kya Maza

Hai parwane Jante Hai
Tum Yuhi Jalate Rehnaaa Aakar Sapnon Mein
posted under Gum a Judai| No Comments »

Tamam Umr Iss Dil-E-Bimaar Ko Chen Na Aaya…

December4
Tamam Umr Iss Dil-E-Bimaar Ko Chen Na Aaya
Keh Ke Bewfaa Ik Aur Hai Zulm Unhoney Daya

Yun To Kami Na Thi Gam-E-Duraan Ki Humey
Gum-E-Judai Ki Surat Mein Mehboob Nyab-E-Tofaa Laya
Sath Chalney Ke Kiye They Davey To Bahut Usney
Mud Ke Dekha Jo Aaj To Kud Ko Tanhaa Paya
Duboo Gya Humey Gum-E-Samunder Mein Woh
Humtum Tera Pyaar Bhi Yeh Kya Rang Hai Laya
Failaye Hath Mangga Tha Yaar Khuda Se Humtum
Badley Mein Humney Do Gaz Kafan Hai Paya
Shaad Ho Gya Woh Shazar Woh Zameen Humtum
Yeh Kisney Meri Qurbaat Pe Aaj Diya Jalaya
Kyun Ker Rha Hai Yha Byaan-E-Dil Tu Humtum
Tujhey Marney Ke Baad Bhi Chen Na Aaya
posted under Gum a Judai | No Comments »

Zindagi Ek Kitaab Ki Tarha Ban Aai Hai…

December4
Zindagi Ek Kitaab Ki Tarha Ban Aai Hai
Jisme Sirf Teri Yadien Or Judai Hai

Baith Ke Agar Pad Le Zindagi Ke Panno Ko
Tere Saath Gujre Har Lamho Ki Gehrai Hai
Jab Socha Tha Humne Tere Liye Kuch Kar Jayenge
Us Pal Hi Mili Humein Judaai Hai
Kyon Na Mil Sake Hum Tumse
Kya Yehi Pyar Ki Geharai Hai
Ab To Zindagi Mein Bas Ibadat Hai Teri
Har Lamhe Mein Khuda Se Pehle Tu Nazar Aai Hai


0 comments:

dhakad . Powered by Blogger.

hindi

Social Icons

Dil ki baat

Har Insan Dil ka bura nahi hota, Har koi insan Bewafa nahi hota, Bujh jaata hai kabhi Diya tel ki kami se, Har baar kasur Hawa ka nahi hota

Blog Archive

Featured Posts